12 Aug 2012

सूर्यग्रहण..... Suryagrahan.....

 


सारा जग आज
देख रहा देखो
जो दिख रहा वो
देख रहा देखो।
     सारे जगत में है आज
     एक ही हलचल
     प्रभाकर की आभा
     सिमट रही पल पल।
कहते हैं देखो
लोग सभी
सूर्य को लगा है
ग्रहण अभी।
     रवि की चाहत
     हर कोई देख रहा
     परवाह नहीं किसी को
     सिसकती धरा का।
दिनकर की उल्फ़त
हर कोई देख रहा
ख्याल नहीं किसी को
तड़पती बसुंधरा का।
     शशि का यौवन
     है मदहोश किए
     रवि को वो अपने
     आगोश में लिये।
चंदा की चाँदनी में
बेसुध खो गया प्रभाकर
उसकी खूबसूरती के शैय्या में
बेखबर सो गया प्रभाकर।
     छीन ले गया कोई
     पृथ्वी का प्रीतम
     बेबसी पर रोटी रही अपनी
शती रही वो जुल्मों सितम।


 Sara jag aaj
dekh raha dekho
jo dikh raha wo
dekh raha dekho.

     Sare jagat me hai aaj
     ek hi halchal
     prabhakar ki aabha
     simat rahi pal pal.
Kahte hai dekho

log sabhi
surya ko laga hai

grahan abhi.
     Ravi ki chahat 

     har koi dekh raha
     parwah nahi kisi ko 

     sisakti dhara ka.
Dinkar ka ulfat

har koi dekh raha
khyal nahi kisi ko

tarapti vasundhara ka.
     Shashi ka yauwan 

     hai madhosh kiye
     ravi ko wo apne 

     aagosh me liye.
Chanda ki chandni me
besudh kho gaya prabhakar
uski khubsurti ke shaiyya me
bekhabar kho gaya prabhakar.
     Chhin le gaya koi
     prithwi ka pritam
     bebasi par roti rahi apni
     sahti rahi wo julme sitam.

-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-

22 Jul 2012

यूँ ना जा..... Yun na ja....

 


देख के यूँ ना पलट
  दिल धक से रह जाएगी
     फेर ना यूँ ऐसे नजर
        सांसें कहीं रुक जाएगी
           मुड़ के यूँ ना जा तु
              मेरी जां ही निकल जाएगी
                 आ पास आ मेरे पास जरा
                     मेरी जिंदगी संवर जायेगी।

 Dekh ke yun na palat
  dil dhak se rah jayegi
    fer na yun aise najar
       sanse kahin ruk jayegi
         Mur ke yun na ja tu
            meri jan hi nikal jayegi
               aa pas aa mere pas jara
                  meri jindgi sanwar jayegi.

21 Jul 2012

Kashak

Retile registan me
jahan kisi marg ka
namonishan tak nahin dikhta
kidhar jayen manjil ko
koi rah na sujhta
thakte kadam wo bebas nigah liye
bhatka rahi jab nirash ho jata
us anant wo viran marubhumi me
rah dhund nikalta tab wah
aur bhatke rahi ko
manjil dikha jata.
Uski dridhnishchaya wo durdarshita ka
kayal jo jata har ek musafir
fir khud ko bhi khud par
garv kyon na ho aakhir.
Kalantar me use mila ek pathik
purntaya bhatki hui si
purnrupen nirash udas si.
Pathdarshak ke samne hote hi
nidhal ho gai wah puri tarah
jhakjhorne ke babjud bhi
palken nahi kholi usne
lambe safar ka katu anubhav
tha shayad uske pas
aatmiyata jatate hi fut pari
bhatkaw kyun ka har hal sunaya
santwana pakar chal pari sath
sahi manjil ki or par
wapsi par bhi sath na chhori
kuchh aur sath ka aagrah kar li
yachana aur katar najron ne
thore sath ki ijajat le li
samay ke sath sath
sath se samip ho li
fir chalne ko hui
ek anjane dagr par
jidhar jati koi pagdandi nahin.
Sara virodh bhi hua
fir nishprabhawi tab
uske snehil jidd ke aage jhuk kar
chal para wah bhi
ek ajnabi rah par.
Aur chalta hi gaya wah
dekha jab pichhe murkar
to hua ehsah
khud bhi bhatak gaya hai aaj
hairani se dekha charo or
nahin dikha us marusthal me
koi rah kisi or.
Wismit najro se jab
dekha us rahi ko
muskurahat ke sath wah
ho gayi aur karib wo
nigahen mili jab rahi se
parichay hua uske man ke
uthti girti lahron se.
Ehsas hua tab bhatak jane ka
ek bhatke rahi ke sath.
Bhatkaw dono me tha par
ek ko sukun tha to
duje ko kashamkash.
Apni sari shakti ekatra kar
punah koshish ki wapsi ki
use bhi samjhaya usne
jo sukh hai bhatke ko
sahi rah dikhane me
wah sukh kahan bhatakne me.
Shayad kuchh samajh wah
fafak pari aur
usse apnatwa ko pa
lipat gai amarbel ki tarah
stabdh ho gaya sara jahan
ek but ki tarah.
Thami jab udwelan
wapsi ko taiyar thi wah
abhi badha nahin tha pahla kadam
aur aa gaya achanak tufan
reton ka bhayankar tufan
daur pare fir dono
sahi rah ki khoj me
Hatho ki thi majbut pakar par
tufan ke aage ek na chali
bawandar ke thamte hi
rahi khud ko paya akeli
chintit ho najre daurayi
mil na sake koi nishan
uske anmol sathi ka
bahadbas wah dauri
royi, chillayi par
har kosish hua wayarth
antatah khud bhi chahi
marubhumi me ho jaun vilin.
Tabhi yad ho aayi use
uske we shabd ki
bhatkna nahin bhatke ko
sahi rah dikhana hai.
Fir sanbhali, aansu ponchhi
aur chal pari dhundhne
apne sahi rah ko
aaj bhi nibha rahi wah
apno ka adhura kartavya
de rahi ek anupam shradhanjali
rahi apne preet ko
dikha rahi hai us marubhumi me
bhatke musafir ko sahi dagar.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=

20 Jul 2012

Baris ki bunden

Kya kahun kaise kahun
kis se kahun mai
kaisi hoti hai ye
barish ki bunde.
Machalta sawan aur
mahakti wasundhara sang
shital samir ke manthan se
srijit hui lagti hai ye
barish ke bunde.
Pulkit ho jata mera
chanchal man mayur
chadhne lagta tan man me
anjana anokha surur
jan jab karti sparsh mujhe ye
barish ki bunde.
Reshmi julfon ko bhingoti
sarabkor karti sarakti
kinare ko girti
ambar se tut te hue
sahastra taron si lagti ye
barish ki bunde.
Palkon par parti
ankhiyan bhinch jati
barfili thandak sa dil me
chubhan ka ehsas dilati ye
barish k bunde.
Hotho par thaharti
motiyon sa chamakti
do pankhuriyn par atakti hui
shwet shabnam si dikhti ye
barish ko bunde.
Chehre se chhitakti
makhmali sa unnat
urojon par chhichhalti
rom rom me sihran bhar deti ye
barish ki bunde.
Niche ko dhalakti
nirmal dhara bankar
nabhi me girti
katra kaatra jurkar
madak tan ki sangat se
madira ban jati ye
baarish ki bunde.
Ithalati hui umarti
madmati hui chalti
thora jab thaharti
ang ang me chingari bhar deti ye
baarish ki bunde.
Sursurahat karti sarakti
kanchan badan par fisalti
nakh se hoti dhara me samati
bhini bhini saundhi saundhi
khushboo utpann karti ye
barish ki bunde.
Barish me bhingta badan
tapish se jal uthta tan
bharak bharak jata mera man
ji chahta hai aise me
koi to aa jaye
karib ho jaye
jism par thari ek ek bundon ko
chusta chala jaye
apne bahon me bhichkar
apne me pighlakar
mujhe santript kar jaye
aur tript ho jaye ye
barish ki bunde.

-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-

19 Jul 2012

कराह..... Karah.....


सुकून था कितना
प्रादुर्भाव हुआ था जब
एक इकाई में मेरा
हर्षित थी, पुलकित थी
अपने आविर्भाव का इंतजार करती
प्रफुल्लित था मन मयूर मेरा।
शनैःशनैः मैं पनपने लगी
आकृति अपने पाने लगी
तभी एक आघात हुआ
हृदय पर एक प्रतिघात हुआ



Sukun tha kitna 
pradurbhaw hua tha jab
ik ikayi me mera.
Harshit thi pulkit thi
apne awirbhaw ka intjar karti
prafullit tha man mayur mera.
Shanaih shanaih mai panapne lagi
aakriti apni pane lagi
tabhi ek aaghat hua
hridaya par ek pratighat hua.





17 Jul 2012

Rachana

Sagar kinare baithkar
kankar uthakar din bhar
shant jal me yun hi
fenkta raha par
rach nahin paya ek bhi
shabd kavita ka.
Aasman ki or chand ko
sar uthakar ra

t bhar
chandni rat me yun hi
niharta raha par
gadh nahin paya ek bhi
shabd kavita ka.
Suhani wadiyon me kali ko
katar najron se chah bhar
rimjhim barsat me yun hi
takta raha par
likh nahin paya ek bhi
shabd kavita ka.

8 Jul 2012

Sard sard hawayen.....

Thandi thandi hawa chali
   dil machalne laga
     teri yad aane lagi
       man bahakne laga
          nukili suiya chubhati hai 
             ye sard sard hawayen
               sainyan ki yad dilati hai 
                ye sard sard hawayen.
                Rom rom me sihran hai
              badhi hui si dharkan hai
            rut bhi kitna pawan hai
         tum bin ab kya jivan hai 
       man me agan jagati hai
     ye sard sard hawayen
   sainyan ki yad dilati hai 
 ye sard sard hawayen.
Teri garam garam sanson me
   ghulne ka ehsas hai
      teri bahon ke aagosh me 
          pighalne ka ehsas hai
             tan me aag lagati hai
                ye sard sard hawayen
                   sainyan ki yad dilati hai 
                      ye sard sard hawayen.
                      Nahin ab katta din hi 
                    aur na kat ti raten
                 bewash hun kisse kahun mai
              apni sari baten
           pyar ki pyash bharkati hai
        ye sard sard hawayen
    sainyan ki yad dilati hai 
ye sard sard hawayen.

-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-

3 Jul 2012

अजन्मी मैं..... Ajanmi Mai.....




प्रादुर्भाव के पहले ही
अपने दमन की
आशंका सी छायी है।
आविर्भाव के दस्तक से
हर के चेहरे पर
सिकन सी उभर आयी है।
अपराधबोध से ग्रसित 
जननी की मौन आंखें
सोच रही अबतक
किस जुर्म की सजा
आखिर उसने पायी है।

Pradurbhaw ke pahle hi
apne daman ki
aashanka si chhayi hai
avirbhaw ki dastak se
har e chehre par
shikan si ubhar aayi hai
Apradhbodh se grasit
janani ki maun aankhen
soch rahi abtak
kis jurm ki saja
aakhir usne payi ha


2 Jul 2012

अपना साया....Apna saya....

अपने साये के समीप आने की
   चाहत है एक छोटी सी
      भागती फिरूं उसे छूने को
         बनकर एक पगली सी।
ज्यों-ज्यों जाती पास उसके
   उतना ही दूर हो जाता वह मुझसे
      आखिर क्यूँ होता है ऐसा
         क्या मैं ही हूँ कुछ भटकी सी।
थक जाती जब मैं
   अपरिमित प्रयास कर
      वहीं बैठ मायूस हो जाती
         हासिल ना कर पाने के चलते
            आँखों में आँसू उतर आते।
वह साया तब पास आता
   चुपके से आँसू पोंछ जाता
         पास बैठ मुझसे स्नेह जताता
            तब मुझे एहसास होता उसके
               अपने प्रति एक आसक्ति सी।।    



Apne saye ke samip aane ki 
  chahat hai ek chhoti si
    bhagti firun use chhune ko
      bankar ek pagli si.
Jyon jyon jati pas uske
  utna hi dur ho jata wah mujhse
    aakhir kyun hota hai aisa
      kya mai hi hun kuchh bhatki si.
Thak jati jab mai
  aparimit prayas kar 
    wahin baith mayus ho jati
       hasil na kar pane ke chalte
         aankhon me aansun ubhar aate.
Wah saya tab pas aata
  chupke se aansun ponchh jata
     pas baith mujhse sneh jatata
       tab mujhe ehsas hota uske
          apne prati ek aasakti si.
Band palke khulti jab meri
  mere woh bilkul karib hota
    harshit ho jata tab
       kumhlaya hua chehra mera
Sparsh ki chah me punah
  udwelit ho jab hath badhati
    woh mujhse dur ho jata
       aur rah jati mai 
          tute man ke sath bikhari si.
Khud ke karib hota har ka saya
  mera bhi karibi dost hai mera saya
      bahut hi karib hai fir bhi
         bilkul hi pas nahi mera saya.
Tanhayi me pas hai par
    purntaya khamosh hai mera saya
       use khabar nahi abtak
           mai hun usme kitni khoyi si.
Wichlit hridaya se
  aawaj ye ubhri
    aasha hai ek antim meri
       apne saye ke saye me
          sari umar rahun mai soyi si.
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_

1 Jul 2012

Yakin nahi hota...


Yakin nahi hota dekh tujhe
tum dhara ki hur ho ya
aasman se utri hui
shodshi koi.
Bayan karun kaise lafjon me
saundarya tumhara
karine se tarashi gayi
kisi shilpkar ki ho
rupsi koi.
Bikhri hui julfen hai
galo pe aise
badlon ki ot me
chhupa ho jaise
shashi koi.
Manmohak hai teri adayen
madakta hai ang ang me samayi
rup se lagti tum
swarg se utri hui
urwashi koi.
-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-

29 Jun 2012

Rachana

Sagar kinare baithkar
kankar uthakar din bhar
shant jal me yun hi
fenkta raha par
rach nahin paya ek bhi
shabd kavita ka.
Aasman ki or chand ko
sar uthakar rat bhar
chandni rat me yun hi
niharta raha par
gadh nahin paya ek bhi
shabd kavita ka.
Suhani wadiyon me kali ko
katar najron se chah bhar
rimjhim barsat me yun hi
takta raha par
likh nahin paya ek bhi
shabd kavita ka.
Man ko mayus kar
murne ko hua ki
anayas hi gujri
samne se mere
ek pramada
stabdh sa khara mai
niharta rah gaya usse
mugdh ho khara mai
dekhta rah gaya usse
tandra tuti to
man nikharne laga
lekhni bicharne lagi
shabd sanwarne lage
rachne lage us kore kagaj par
shabd kavita ka.
 

28 Jun 2012

Wo budhia



Wo budhiya chaurahe ki
ek pratik ho jaise saye ki
gaur warn ko rekhankit karti
chehre ki wo silwaten
Badrang sa hai shwet
bikhri hui uljhi laten.
malin sa hai dono aankhe
gadhe me dhansi
aankhon se hai jhankti
mayusi wo bebasi.

Aashaon ka daman thame
khud hi budbudati
har aane jane wale me 
koi apna dhundti.
Apna chhuta sapna tuta
par jindgi ka sath na chhuta
kal ke uske sunahre din ko
aaj ka beraham waqt ne luta.
Ab to ghariyan gin rahi wo pal pal
ab to jiti jiti mar rahi wo har pal
shunya ko niharti rah takti
aaye jab maut meri 
kab aayega wo pal.

27 Jun 2012

Chuimui


Shabnami bundo me nahakara
subah jki tajgi liye
bagon ki kamsin komal
koyi kali thi wo.
Sangmarmar se gadhi
shwetambar me lipti
Yauwan se madmati
koyi pari thi wo.
Chehre par bikhri thi
julfen is kadar
shikhar ki oot se nikalti
koyi shashi thi wo.
Lajili palken jhukaye
sakuchayi sharmayi
khud me hi simatti
koyi chhuimui thi wo.


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

26 Jun 2012

Bhikshuk


Aaj khara hai jholi failaye
kal bhi khara tha le yahi aashayen
kaj bhi rahega shayad kuchh mil jaye
Apni wipda sunata hai
din hal darshata hai
hath samne failata hai
koi kuchh de ya na de
yah duwayen deta jata hai.
Assi jan me aath bhi
nahin hote aise
halat wo wipda par uske
koi kuchh soche.
Apne shav ko dhota rahta
haddi ka dhancha koi gin jata
aag pet me sulagti rahti
karun aankhen sisakti rahti.
Dil me arman nahin jag pati
chahat ichchha sabhi mar jati
parwah nahin hai ham kaun hai
mukh chup hai aankhen maun hai.
-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-