20 Jul 2012

Baris ki bunden

Kya kahun kaise kahun
kis se kahun mai
kaisi hoti hai ye
barish ki bunde.
Machalta sawan aur
mahakti wasundhara sang
shital samir ke manthan se
srijit hui lagti hai ye
barish ke bunde.
Pulkit ho jata mera
chanchal man mayur
chadhne lagta tan man me
anjana anokha surur
jan jab karti sparsh mujhe ye
barish ki bunde.
Reshmi julfon ko bhingoti
sarabkor karti sarakti
kinare ko girti
ambar se tut te hue
sahastra taron si lagti ye
barish ki bunde.
Palkon par parti
ankhiyan bhinch jati
barfili thandak sa dil me
chubhan ka ehsas dilati ye
barish k bunde.
Hotho par thaharti
motiyon sa chamakti
do pankhuriyn par atakti hui
shwet shabnam si dikhti ye
barish ko bunde.
Chehre se chhitakti
makhmali sa unnat
urojon par chhichhalti
rom rom me sihran bhar deti ye
barish ki bunde.
Niche ko dhalakti
nirmal dhara bankar
nabhi me girti
katra kaatra jurkar
madak tan ki sangat se
madira ban jati ye
baarish ki bunde.
Ithalati hui umarti
madmati hui chalti
thora jab thaharti
ang ang me chingari bhar deti ye
baarish ki bunde.
Sursurahat karti sarakti
kanchan badan par fisalti
nakh se hoti dhara me samati
bhini bhini saundhi saundhi
khushboo utpann karti ye
barish ki bunde.
Barish me bhingta badan
tapish se jal uthta tan
bharak bharak jata mera man
ji chahta hai aise me
koi to aa jaye
karib ho jaye
jism par thari ek ek bundon ko
chusta chala jaye
apne bahon me bhichkar
apne me pighlakar
mujhe santript kar jaye
aur tript ho jaye ye
barish ki bunde.

-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-

No comments:

Post a Comment