17 Mar 2012

Ehsas

Aapka anchhua sparsh hi
mujhe apna bana gaya
bina kisi majburi ke
aapko mera bana gaya.
Rat jab bhi lagi
kuchh bojhil si
aapka swapn hi mujhe
subah ka ujala dikha gaya.
Mere kanpte lavon par
jab bhi aapka adhar para
meri khamosh dharkano ko yah
betartiw badha gaya.
Tan ki najdikiyan
bahut hi kam thi magar
aapke bahon ka aalingan mujhe
ek nayab sahara dila gaya.
Aapko samarpit hai mera
sarwaswa tan man
aapka nirala andaj mujhe
ek naya ahsas jaga gaya.
-------------------------------------------------------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment