18 Jun 2012

Virah


Nisha ke sisakte hridaya ko
kisne samjha hai
ashruon se larajte chakshuon ko
kjisne dekha hai.
Pravakar ke ekaki sneh me dubi
uski virah vedna ko
kisne parkha hai.
Rah takti , din katti
sham dhalne ki bat johti
palbhar ki samipta ko wyakul
man me aash sanjoye rajni ko
kisne parkha hai.
Rah takti, din katti
sham dhalne ki bat johti
palbhar ki samipta ko vyakul
man me aash kanhoye rajni ko
kisne jana hai.
Kshanik milan tha bhagya me bada
sirf pratah purva wo godhuli bela me
thori hi hasil ho pati use
kirnon ka snehil sparsh
aur badh jate ravi ke kadam
dabi rah jati khamoshi se
uske bayan hardam
dard jao uske preet ko
dinkar bhi nahi pahchana hai.
AAnshik milan aur vrihat tanhayi
kise kahe woh apni pir parayi
atript sneh ki kashak
ashru bankar yamini ki
pratah patton par bikhre
shabnam ki bundon ko
kisne dekha hai.
Anshon me hi mili
nyun hi sahi
atript preet pritam ka
aakhir aprimit sneh sharwari ka
bhaskar ke prati abhi tak
ekaki wo adwitiya prem ko
kisne aanka hai.

*-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-*

No comments:

Post a Comment