Najaron me hun sabki par
ek najarbandi hun mai
chahardiwari nahin yahan kothari ki
fir bhi ek bandi hun mai.
ek najarbandi hun mai
chahardiwari nahin yahan kothari ki
fir bhi ek bandi hun mai.
Ritiyon se jakri
riwajon ke bich sisakti
rudhibadi rashmon ko
riwajon ke bich sisakti
rudhibadi rashmon ko
dhone ko vivash hun mai.
Chal nahin pati aaj bhi
swechha se ek kadam
warchaswa ke tale paddalit hoti
pangu ban sadiyon se
sahare ko badhy hun mai.
Arman hoti rahi dafan
saheli ban gai hai ghutan
raktranjit smita liye
swayan me hokar kaid
swechha se ek kadam
warchaswa ke tale paddalit hoti
pangu ban sadiyon se
sahare ko badhy hun mai.
Arman hoti rahi dafan
saheli ban gai hai ghutan
raktranjit smita liye
swayan me hokar kaid
ek chirsthayi kaidi hun mai.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
No comments:
Post a Comment