Sard hai juban
achal nigahen
bebas sa khara khud ko
ektak dekhta raha.
Khamosh hai jindgi
chehra bhi malin
shithil mastishk liye mai
shunya ko niharta raha.
Sabut hun purntaya par
hun ek but sa
khud me uthte dard ko pita
swayan me hi bikharta raha.
Armawihin ho gaya hun
aur shaktihin bhi
apne bikharte tukaron ko
chunne ke prayas me
aur bhi tutta raha.
Chhuta har ka sath
koi bhi nahi hai aaj pas
kshat vikshat urr liye khara
akela swayan hi tarapta raha.
*****************************
achal nigahen
bebas sa khara khud ko
ektak dekhta raha.
Khamosh hai jindgi
chehra bhi malin
shithil mastishk liye mai
shunya ko niharta raha.
Sabut hun purntaya par
hun ek but sa
khud me uthte dard ko pita
swayan me hi bikharta raha.
Armawihin ho gaya hun
aur shaktihin bhi
apne bikharte tukaron ko
chunne ke prayas me
aur bhi tutta raha.
Chhuta har ka sath
koi bhi nahi hai aaj pas
kshat vikshat urr liye khara
akela swayan hi tarapta raha.
*****************************
Ek dam sahi farmaya hai janab aapne....
ReplyDelete