3 Feb 2012

Pahla Shabd

Kyun kah gaye wo shabd
ki mai stabdh ho gai.
aankhe mund gai 
meri sanse tham gai. 
  Kyun kah gaye tum aisa
  meri dharkane ruk gai.
  khud me simatne lagi mai
  mai chhuimui ho gai.
Kano me parte hi yah
mere rag rag me ghul gaya.
alfaz kah gaye tum aisa
mera tan badan sihar gaya.
  Kaisa asar tha un shabdon ka
  mai khari ki khari rah gai.
  kya jadu tha unn shabdon me
  mai but bankar rah gai.
Pahle ijhar ka pahla shabd sun
mai bilkul sann rah gai.
pahle pyar ka pahla shabd sun
meri jan hi nikal gai.
  Kya kahun kya na kahun mai
  ik uljhan me fansi rah gai.
  kya kahun kya na kahun mai
  dil ki baten dil me dabi rah gai.

No comments:

Post a Comment