1 Feb 2012

Aahista Aahista


Kyun kar gaye aap hame
is kadar diwana
ki aahista aahista
aapke karib aane lage.
Kyun kar diye aap hame
itna majbur
ki aahista aahista
aap hi yad aane lage.
Kyun kar gaye aap hame
itna bechain
ki aahista aahista
meri ninde urne lagi.
Kyun badha di apne prati
wo betartiv chahat
ki aahista aahista
aap apne lagne lage.
Kyun kar diye aap hame
itna bekarar
ki aahista aahista
aapke samip aane lage.

No comments:

Post a Comment