8 Mar 2012

Virakti


Abodh tha mai kabhi
chahta hun rahna abodh hi
aaj bhi.
      Tatparya nahi hai mukarna
      apni jimsonweed se
      ek virakti si hui hai
      is badalte parivesh se
      anaitikta ki rahon me lipt
      ujle vesh se.
Nishchhal tha mai kabhi
chahta hun rahna nishchhal hi
aaj bhi.
      Spasht sunai de raha aaj
      manawta ka chitkar
      lut raha insaniyat
      sare bazar
      sauhardta wo sahishnuta me
      parne lagi darar.
Khamosh tha mai kabhi
chahta hun kuch kar jana
khamoshi se is jag se
aaj hi.

~:~~:~~:~~:~~:~~:~~:~~:~~:~~:~~:~~:~~:~~:~~:~

No comments:

Post a Comment