23 Apr 2012

Arman

Pagal dil ye mera
  chahta hai aaj fir se
    apni anguliyon se tum
      meri julfon ko sanwar do.
Chanchal dil ye mera
   chahta hai aaj fir se
     apni aankhon me tum
       mere akson ko utar do.
Dharakta dil ye mera
   chahta hai aaj fir se
     apni sanso se tum
        mere mukhare ko nikhar do.
Machalta dil ye mera
   chahta hai aaj fir se
     apni bahon me le tum
       mujhe pyar do sirf pyar do.

*******************************

No comments:

Post a Comment