21 Apr 2012

Katra katra

Katra katra jorkar
sanjoya tha ik khwab ko
waqt ke beraham

thapere se yah
tutta raha katra katra.
Tinka tinka chunkar
sajaya tha ik nirr ko
aandhiyon ke ik

jhoke se yah
ujarta raha tinka tinka.
Bund bund ikattha jar
bandha tha ik sagar ko
chhoti si ik

darar se yah
rista raha bund bund.
Kann kann batorkar
sanwara tha ik kutir ko
bhuchal ke ik

jhatke se yah
bikharta raha kann kann.

-/-/-/-/-/-/-/-/-/-/-/-/-/-/-/-/-/-/-/-

No comments:

Post a Comment