18 Apr 2012

Waqt

Waqt ka sath tha
  mera us waqt
    jab sath sath tha
     har kadam waqt.
Waqt ka hi thawo
  beharam thapera
    pal bhar me ujar dita
      aashiyana mera.
jirn shirn sa khara mai
  dekhta raha us waqt ko
    us jalim wo bedard waqt ko
      jane kyun badal gaya aaj
        kal ka wo waqt.
Waqt ne ki beharmi ya mai
  waqt ko thahra na saka
    kitna majbur tha us waqt mai
      waqt ko samjha na saka
Sath hai chhor gaya
  mera wo waqt
    sath diya tha kabhi
      mujhe jo waqt.
Suni suni si hai jindgi
  aaj har waqt
    jane kahan kho gaya
      aaj wo waqt.
Stabdh sa kar diya hai mujhe
  aaj ye waqt
    shithil sa kar diya hai mujhe
      aaj ye waqt.
Khud ko simtakar
  ek bar fir
    badalna hai is waqt ko
      ek bar fir.
Dikhalana hai paurush
  ek bar fir
     nikalna hai aage waqt ke
       ek bar fir.
Lana hai fir se
  ek bar wo waqt
    gum sa ho gaya hai
       kal ka jo waqt.

======================

No comments:

Post a Comment