24 Jun 2012

Bali umar


Bali umaria bita
bachapan mera chhuta
chadhi jawani
chadh gaya yauwan
khilne laga mera
man ka upwan
Ji karta hai pankh laga ke
jhawa me urr jayun
dil karta hai palbhar me
aasma ko chhu aayun
koi jab sangeet sunaye
tan me sihran si bhar jaye
kaliuyan par jab
bhawra madraye
man me halchal si mach jaye
Din bhar hansi sapne sajaun
rat bhar khyalon me duba rahun
dil karta koi to aa jaye
mujhe apni bahon me bhar jaye
Ji karta hai khyalon me uski
khoyi rahun mai umarbhar
dil karta hai sapno me uski
dubi rahun mai umarbhar.

No comments:

Post a Comment