Ajanta ki hai murat koi
apsara si hai surat tumahri
karine se tarashi gayi
sangmaramari hai
shilpi kaya tumhari.
Damak raha tera mukhmandal
chandrama ki aabha se
bikhar rahi teri julfe
kali reshmi rashmi se
koi kya kahe rup ki
anupam hai
khubsurati tumhari.
Palkon ke pichhe se jhank rahi
tere nayna hai do chamkile sitare
suraj ki lalima chura li hai
ye komal surkh hoth tumhare
teri tulna kya ho urwashi se
akalpniya hai
sundarta tumhari.
Solahwen sawan ki alhar wali
wo lawanyata hai tere ang ang me
sanbhale nahi sanbhalne wali
wo madakta hai tere yauwan me
chakti hai bahakti hai
machalti hai
ye chanchalta tumhari
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
apsara si hai surat tumahri
karine se tarashi gayi
sangmaramari hai
shilpi kaya tumhari.
Damak raha tera mukhmandal
chandrama ki aabha se
bikhar rahi teri julfe
kali reshmi rashmi se
koi kya kahe rup ki
anupam hai
khubsurati tumhari.
Palkon ke pichhe se jhank rahi
tere nayna hai do chamkile sitare
suraj ki lalima chura li hai
ye komal surkh hoth tumhare
teri tulna kya ho urwashi se
akalpniya hai
sundarta tumhari.
Solahwen sawan ki alhar wali
wo lawanyata hai tere ang ang me
sanbhale nahi sanbhalne wali
wo madakta hai tere yauwan me
chakti hai bahakti hai
machalti hai
ye chanchalta tumhari
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
No comments:
Post a Comment