5 Jun 2012

Uday


Pao fatne ko hai
  nisha chhutne ko hai
    aankho me ashru dhari hai
      charo aur nami pari hai.
Chand bhi kuchh dur khara hai
  bichhurne ka gam jara hai
    sitaron ki shakh giri hai
      chhutte hi bhag pari hai.
Kanchan kirne bikhar rahi hai
  pakshi bhi sur saja rahi hai
    aalam hai kuchh is kadar chhaya
      jaise koi jadugari hai.
Dhire dhire shikhar ki ott se
  muskurata ravi nikal raha hai
    chal raha wo aisi san se
       jaise koi samrat aa raha hai.

*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

No comments:

Post a Comment