29 Jun 2012

Rachana

Sagar kinare baithkar
kankar uthakar din bhar
shant jal me yun hi
fenkta raha par
rach nahin paya ek bhi
shabd kavita ka.
Aasman ki or chand ko
sar uthakar rat bhar
chandni rat me yun hi
niharta raha par
gadh nahin paya ek bhi
shabd kavita ka.
Suhani wadiyon me kali ko
katar najron se chah bhar
rimjhim barsat me yun hi
takta raha par
likh nahin paya ek bhi
shabd kavita ka.
Man ko mayus kar
murne ko hua ki
anayas hi gujri
samne se mere
ek pramada
stabdh sa khara mai
niharta rah gaya usse
mugdh ho khara mai
dekhta rah gaya usse
tandra tuti to
man nikharne laga
lekhni bicharne lagi
shabd sanwarne lage
rachne lage us kore kagaj par
shabd kavita ka.
 

No comments:

Post a Comment