2 Jun 2012

Ant

Aadi ka aagaj hi hua tha ki
ant ki lakiren ubhar aayi.
Shuru ki shurut hi hui thi ki
khatm ki parchhayi ubhar aayi.
Safar ka silsila chal hi para tha ki
samapan ki jhalken ubhar aayi.
Sath ke do kadam hi badhe the ki
do raste murne ki baten ubhar aayi.
Milan ke jajbat ubhare hi the ki
bichhurne ki manodasha ubhar aayi.

No comments:

Post a Comment