28 Jun 2012

Wo budhia



Wo budhiya chaurahe ki
ek pratik ho jaise saye ki
gaur warn ko rekhankit karti
chehre ki wo silwaten
Badrang sa hai shwet
bikhri hui uljhi laten.
malin sa hai dono aankhe
gadhe me dhansi
aankhon se hai jhankti
mayusi wo bebasi.

Aashaon ka daman thame
khud hi budbudati
har aane jane wale me 
koi apna dhundti.
Apna chhuta sapna tuta
par jindgi ka sath na chhuta
kal ke uske sunahre din ko
aaj ka beraham waqt ne luta.
Ab to ghariyan gin rahi wo pal pal
ab to jiti jiti mar rahi wo har pal
shunya ko niharti rah takti
aaye jab maut meri 
kab aayega wo pal.

No comments:

Post a Comment